College Days
Jaise taise karke board exam khatm hua.
School se farewell liye.
Apni bachpan ki pyaar se bichde.
Aur ek
Nayi duniya ke taraf badhne lage.
![]() |
| Collage days |
Idhar udhar thokar khane ke bad ek jagah ne hume apnaya, aur ek saal ke andar usko hum apnane lage.
Han baat kar raha hu collage ki. Abhi Kahan boring sa jindegi me do pal ki Khusi dene wale 2-3 Sal ki.
Baat hai ye tab ki jab Hum pehli baar uniform se azaad hue the.
Aur humari jeb me batua rehne laga tha.
Usse pehle class jane ko maan nahi karta tha lekin Ab roj jate the par class nhi karte the.
Pehla saal tha, Naye Naye log the kisi se sahi se baat nhi kar pate the, par bas kuch hi din baad apne ap ko unlogon ke bich pate the.
Wo canteen me gappe ladhana.class me gali sunke apni rok badhana.
Wo practical ke liye dost ke room me raat raat bhar pade rehna,
Aur ek raat me pure syllabus khatam Karna.
Harami the wo dost pata nhi Majak Majak me kab sab Buri cheez ka Aadat Daal diye.
Sardi me muh se dhuan nikal ne wala ladka Aj hath me cigarette pakad ke,Peheli bar ka ' kuch nhi hoga pike dekh' ki yad me Khada tha.
BirthDay pe late uske baad party.
Fir puri duniya ko Muthi me karne ki baate.
Pata tha Nasha Karna galat h par kya Kare,nas me khoon jo garam tha.
Ye sab karte karte kab last year beet gaya pata nhi chala.
But jab bhi yaad karte hai
Tab College ka 1st introduction se Lekar last farewell ka speech tak palak jhapakte hi aankho ke Samne se gujar jata hai.






0 comments:
Post a Comment